mera ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
Khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamana hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai
kiya sair hamne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti main ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi ankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki pari “dard” kis par
jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai
(Khwaja Mir Dard)
More Poetry from Khwaja Mir Dard:
- Chaman mein subah yeh kahti (Khwaja Mir Dard Poems)
- Duniya Mein Kaun (Khwaja Mir Dard Poems)
- Ham tujh se kis hawa ki (Khwaja Mir Dard Poems)
- tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha (Khwaja Mir Dard Poems)
- Jag main Akar idhar udhar dekha (Khwaja Mir Dard Poems)