jag main akar idhar udhar dekha
tu hi aya nazar jidhar dekha
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune ankh bhar k dekha
nala fariyad ah aur zari
ap se ho saka so kar dekha
un labon ne ki na masihai
ham ne sau -sau tarah se mar dekha
zor ashiq mizaj hai koi
“Dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha
(Khwaja Mir Dard)
More Poetry from Khwaja Mir Dard:
- Chaman mein subah yeh kahti (Khwaja Mir Dard Poems)
- Duniya Mein Kaun (Khwaja Mir Dard Poems)
- Ham tujh se kis hawa ki (Khwaja Mir Dard Poems)
- tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha (Khwaja Mir Dard Poems)
- mera ji hai jab tak teri justaju hai (Khwaja Mir Dard Poems)